--
- Khab, khayal aur wo raate…Teri yaado main gujar jata hai pura din mera, teri khabo se suru hota hai din mera. Rato main bs ik khayal mera, tum mere baho main ho raat kabhi na gujare din ka savera jab bhi ho tum meri baho main ho, har pal har ghadi tera hi ghayal ho, rab se bs ik hi dua hai, tum zindagi bhar mere sath ho.
2.Mulakat hai tumse….. Mulakat hai tumse har ghadi har pal tanha raato main bhichade bato main din ke ujalo main raat ke baad savero main mulakat hai sare janam main, mulakat hai us pal main jb moat ke baad nayi zindagi hai.
3.Kato se gujar jata hu daman ko bacha kr, fulo ke seyasat se main begana nahi hu.
4.Najare karam muz per itna na kr, Ki teri moohabat ke liye baagi ho jau, muze itna na pila ishq ye jam ki, main ishq ke jahar ka aadi ho jau.
5.Apni kalam se dil se dil tak ki baat karte hai sidhe sidhe kah kyu nahi dete hum se #pyar karte hai.
6. Hum se na ho sakegi mohhabat ki numaish, bus itna jante hai…tume pe pnaha chahte hai.
7. Tere ishq main diwani hu, tu hai shma main parvani hu, muze bejaan sa kr gya sadma tere bichad jane ka.
8. Aj dekha hai tumko bade dino baad, aj ka din gujar na jaye kahi.
9. Har kadam har pal hum aapke sath hai, bhale hi aapse dur sahi, lekin apke paas hu. Zindagi main hum kabhi apke ho ya na ho, lekin hume apki kami ka har pal yehsas hai.
10. Ishq karta hu tumse apni zindagi se jyada, main darta hu mout se jyada tumari judai se, chahe to hume ajama kr dekh kisi aur se jyada,meri zindagi main kuch nahi teri avaj se jyada.
11. Jab khamosh nighao se baat hoti hai, to yese hi mohhabat ki suruvat hoti hai, hum to bus khoye hi rehte hai unke khayalo main, pata hi nahi chalta kab din kab raat hoti hai.
12. Hakikat kahe to unhe khoab lagta hai, shikva kare to unhe majak lagta hai,kitne shidat se unhe hum yaad karte hai, aur ik wo hai jinhe ye sab majak lagta hai.
13.Teri mohabbat ne hume benaam kr diya, hume har khushi se anjaan kr diya, humne to kabhi nahi chaha tha hume mohabbat ho, lekin unki pehli najar ne hume nilam kr diya.
14. Bus tum hi tum ho ab to mere nighao main, humne to nighai bicha rakhi hai teri raho main, zindagi bhar ki bekarari ko karar aa jaye, agar samet lu tumhe kabhi baho main.
15. Tere hi pyar se mera ye dil dhadakta hai, tere hi naam se mera ye dil bahakta hai, mere is dil ki bewafai ko to dekho, mera hokar bhi tere liye dhadkata hai.
16. Dil main mohhabat ho to dildar suhana lagta hai, ho hato main hat ho to safar suhana lagta hai, fursat ke kuch pal churakr zindagi se, jab wo ghar main rehte hai..to wo ghar suhana lagta hai.
17. meri is duniya ki khusi humse hai, meri is ankho ki roshni tumse hai, ab isase jyada main tumse kya khau.. meri har sasa aur zindagi tumse hai.
18. Kal bada shor tha mainkhane main, behas chidi thi jam konsa bhehtarin hai, aur hamne tumare hotho ka jikar kiya…yakin mano bhehas khatam hui.
19. Ik bar uske rone par, unke hotho ko kya chum liya, ab to har bar rone ka bahana bnati hai.
20. Unko gujarte dekha to humne ankhe band kr li…pr payal ki zankar kya suni ankho ne to baghavat kr liye.
21. Ye hawaye suno jara pegame mohabbat na lao, agar mijaj itna ashiqana hai to mere mahaboob ko hi le aao.
Wo mohabbat hi kya jo dil ki baat lafjo main bya ki jaye, ashiq ka majja to tab aye jab khamoshi se mere dil ki baat tere dil main utar jaye.